Bekhayali Song from Kabir Singh is sung by Sachet Tandon and music is directed by Sachet Parampara. Bekhyali lyrics is written by Irshad Kamil.
Song Credits :
Bekhayali Song Lyrics
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichadna hai zaruri, yeh sawal aaye
Teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi
Hisse mein faasle bhi tere bemisaal aaye
Main jo tumse door hoon
Kyun door main rahun
Tera gurur hoon
Aa tu fasla mita
Tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun judayi de gaya tu, yeh sawal aaye
Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye
Hai yeh tadpan, hai yeh uljhan
Kaise jee loon bina tere
Meri ab sabse hai an-ban
Bante kyun yeh khuda mere
Jo log-baag hain, jungle ki aag hain
Kyun aag mein jaloon
Yeh nakaam pyar mein
Khush hain yeh haar mein
Inn jaisa kyun banun
Raatein dengi bata
Needon mein teri hi baat hai
Bhoolun kaise tujhe
Tu to khayalon mein sath hai
Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
Kyun bichadna hai zaruri yeh sawal aaye
Nazar ke aage har ik manzar
Reit ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere
Zehar ki tarah utar raha hai x (2)
Aa zmaane aazama le roothta nahi
Faaslon se hausla yeh toot’ta nahi
Na hai woh bewafa aur na main hoon bewafa
Woh meri aadaton ki tarah chhoot’ta nahi
0 Comments
Post a Comment